Hadees ka mafhoom he ke:
Ae logo!!
jo shakhs ramzan ke mahene me apne akhlaq ko drust rake to Allah
wose roze qayamat asani se pule sirat se guzare ga, jabke logo ke
qadam wahan phasal rahe honge,
Jo apne nokro se ais mahene me kam khidmat lega, Allah wose Hisab
wa Kitab me asani farmayega,
Jo Shakhs ais mahene me kisi yateem ko Aizzat ki nigah se deke ga, to Allah baroze qayamat wose Aizzat ki nagah se deke ga,
Jo Shakhs ais mahene me apne Rishta daro se Sila Rahmi karega, to Allah wose apni rehmat ke saye me dhaamp lega,
Jo Shakhs ais mahene me apne Rishta daro se Qataa Rahmi karega, to Allah wose apni rehmat ke saye se mahroom karega,
Jo Shakhs ais mahene me nimaze pare ga, Allah woske leye Jahanam ka Aman nama tahreer farmayega,
Jo Shakhs ais mahene me Quran ki aek ayat pare ga, to Allah ki bargah me woskeleye aek Khatme Quran ka sawab raqam hoga.
Quran ki aek ayat pare ga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment