ramzan ki pehli raat

Nabi Pak(S.A.W) ka irshad he ke:
jab mahe ramzan ki pehli raat ati he,
to tamam janato ke derwaze kool jate he,
aur sara mahina aek derwaza bi band nahi hota,

aur Allah pak aek awaz dene wale ko hukum deta he, ke yey awaz do:
ae bhalai ke talabgaro aage baroo,
ae burai ke talabgaro peche hatoo,

pir farmata he,
he koi bakhshish mangne wala, ta ke wose bakhsh deya jaye,
he koi mangne wala, ta ke jo mangta he wose diya jaye,
he koi toba kerne wala ta ke woski toba qabool kerdiya jaye,

suba hone tak aesi tarha awaze di jati he,

iftar ke waqt her shab Allah pak dozakh se 10 lac gunahgaro ko azad farmata he, jin per azab lazim hochoka he.

0 comments:

Post a Comment